Bas ek kadam, bas ek daaman
yahi antar hain awaargi aur kamyabi mein
bas ek kadam, bas ek raat
wahi faasla hain ummed ki subah aur niraasha ki sannate mein
bas ek kadam, bas ek muskaan
wahi antar hain jaane aur anjaane mein
bas ek kadam, bas ek yakeen
wahi antar hain haar aur jeeth mein
bas ek kadam, bas ek naayak
wahi kameen hain ek gut aur abhiyaan mein
bas ek kadam, bas ek tehzeeb
wahi antar hain insaan aur amanush mein
bas ek kadam, bas ek kitaab
wahi doori hain garibhi aur roji-roti mein
bas ek kadam, bas ek humsafar
wahi kameen hain ek rahi aur manzil mein
bas ek kadam, bas ek kalam
wahi doori hain zulm aur inquilab mein
bas ek kadam, bas ek vishwaas
wahi bedh hain pathar aur eshwar mein
bas ek kadam, bas ek bhool
yahi faasla hain maan aur apmaan mein
bas ek kadam, bas ek najariya
wahi antar hain jeena aur zindadili mein
bas ek kadam, bas ek yaad
yahi faasla hain ek kavi aur uski kalpana mein
bas ek kadam, bas woh adaa
yahi antar hain ek husn aur mehbooba mein
bas ek kadam, bas ek dhaaga
wahi bedh hain najaayaz bacche aur jaayaz mein
bas ek kadam, bas ek saans
yahi antar hain ek jism aur rooh mein
bas ek kadam, bas ek lakeer
yahi faasla hain,
ek padosi aur ajnabhi mein
ek dost aur dushman mein
ek bhai aur badla mein
ek aulaad aur yateem mein
ek behn aur balaatkaar mein
ek masoom aur haiwaan mein.
Love the comparisons and play of words…
LikeLike
Thank you so much.
LikeLike