har baar wahee, lekin phir bhi nayee
maana tumhare dastakhat kahin nahin hain likha,
lekin tumhare haath ke likhe hue shabd se itna wakif hoon,
ke matlab-e-shabd se door, unhe dil-o-jaan se mahsoos karta hoon

har baar nayee, lekin phir bhi wahee
ghanton in mad-bhari khaton se baatein karta rehta hoon,
kya pata, yeh meri gham mein shaamil hojayee
aur mujhse milne ka, bhula hua woh vaada phir se tumhe aagah karden !