pehli baar aisa asar hua
teri awaaz ki mitaas pe jaan fida ho gaya
din bane mahine, mahine bane saal,
na jaane kahaan kho gayee woh awaaz,
mera dil kehta hain…
dekha tho yahin hain, dhoonda tho nahin hain…
kabhi kabhi raat ki akelepan ko choor karti huyi,
woh bhooli bisri awaaz phir se dastak deti hain,
aur dil ki dhadkan phir se jawaan hokar,
puraani lamhon ki chaadar od kar gun guna ne lagthi hain,
phir main sochtha hoon…
dekha tho yahin hain, dhoonda tho kyon nahin hain…
meri yahin fariyaad hain tumse,
tumhari misri si awaaz ko pani ke bulbule ki tarah jene do,
taaki teri awaaz bhujthi bhi rahe aur banti bhi rahe,
magar kabhi khamoshi ka kafan pehnakar apni awaaz ko labon ke beech dafna na dena,
phir main yeh sukoon se kah sakoon,
dekha tho yahin hain, aur dhoond ne ki koyee zaroorat nahin !!!