yeh ek afsaana hain,
sach nahin, par jhooth bhi tho nahin

yeh ek khoya hua pyaar hain,
yaad bhi hain kuch aur bhool bhi gaya kuch

yeh ek pukaar hain,
awaaz tho hain meri, par alfaaz kisi aur ke

yeh ek silsila hain,
ise naahi chalte huye, naahi rukte huye dekha hain

yeh ek andaaz hain,
jaan ke bhi na jaane kyon anjaan hain

yeh ek bhoola hua naam hain,
yaad tho hain sabi ko, par bulane wala koyee nahin

yeh ek bandhan hain,
na jaane kahaan se judi huyi aur kahaan se tooti huyi

Haan… yeh mera saaya hain,
mera hoke bhi khambhakt mere peet ke peeche saazish rachatha hain !