Aaj bina koyee ijaazat liye
barasne ko bekaraar kaare baadal aa tapke,
yeh baarish wala nahin
zulf-e-daraaz wali
Aaj din ke waqt
chandni nee apna chehra parda phaash kiya,
yeh raat wala nahin
gharam saanson wali
Aaj be-mausam
diwali jaisi shor mere aangan mein utar aayee,
yeh pattakhon wala nahin
hasi ki ladiyan wali
Aaj raat darwaze par dastak suna
na musafir na koyee mehmaan ka koyee nishaan,
yeh hawa ka jhonka wala nahin
yaadon ki aah wali
Aaj beech raah mein jab lut gayaa
tho udaasi ki thi pal, par mauj ki huye mizaaj,
yeh chor wala dhokebaazi nahin
jaan-levaa nazron wali