hain anginat
raat ke chehre
jo raha main chuumne
din ka sarhad
hain be-shumaar
ujhaalon ke kaarvan
jo raha main thaamne
mehnat ke saaye
hain bin-maut
saare vo jashn
jo raha main bhulaane
kal ke ehsaan
hain be-buniyaad
mann ka afsos
jo diya nahin kabhi
dil ko chain
rahen anjaane
preet ki manzilen
jo raha main khojne
mamta-e-husn se mulaayam